shāḳh tinke ko likhā sho.ale ko jhoñkā likh diyā
maiñ ġhazal kahne lagā lekin qasīda likh diyā
paḌhtī rahtī haiñ ḳhalāoñ ko mirī bīnā.iyāñ
tū ne in aurāq par mere ḳhudā kyā likh diyā
kis kī sāñseñ mere hāthoñ kī lakīreñ ban ga.iiñ
kis ne mere aa.ine meñ apnā chehra likh diyā
kis kī ḳhushbū se mahak uTThīñ mirī tanhā.iyāñ
kis ne vīrāne meñ qismat kā tamāshā likh diyā
maiñ jahāñ Duubā vahāñ buniyād-e-sāhil paḌ ga.ī
āḳhirī sāñsoñ ne paanī par jazīra likh diyā
zindagī ko uḌte lamhoñ ke kafan meñ Dhāñp kar
sañg-e-mustaqbil pe maiñ ne apnā katba likh diyā
yuuñ mukammal kī hai 'najmī' maiñ ne apnī dāstāñ
jis jagah bhī rabt TuuTā naam us kā likh diyā