ajiib ham haiñ sabab ke baġhair chāhte haiñ
tumheñ tumhārī talab ke baġhair chāhte haiñ
faqīr vo haiñ jo allāh tere bandoñ ko
har imtiyāz-e-nasab ke baġhair chāhte haiñ
mazā to ye hai unheñ bhī navāztā hai rab
jo is jahān ko rab ke baġhair chāhte haiñ
nahīñ hai khel koī un se guftugū karnā
suḳhan vo jumbish-e-lab ke baġhair chāhte haiñ
ThaThurtī raat meñ chādar bhī jin ke paas nahīñ
vo din nikālnā shab ke baġhair chāhte haiñ
jamī hai gard siyāsat kī jin ke zehnoñ par
mushā.era bhī adab ke baġhair chāhte haiñ
hai e'timād unheñ ḳhud par ġhurūr kī had tak
akele jiinā jo sab ke baġhair chāhte haiñ