jo shajar be-libās rahte haiñ
un ke saa.e udaas rahte haiñ
chand lamhāt kī ḳhushī ke liye
log barsoñ udaas rahte haiñ
ittifāqan jo hañs liye the kabhī
intiqāman udaas rahte haiñ
merī palkeñ haiñ aur ashk tire
peḌ dariyā ke paas rahte haiñ
un ke baare meñ sochiye 'tāhir'
jo musalsal udaas rahte haiñ