Tahir Faraz

koi hasin manzar aankhon se jab ojhal ho jaega

Tahir Faraz

koī hasīñ manzar āñkhoñ se jab ojhal ho jā.egā
mujh ko pāgal kahne vaalā ḳhud hī pāgal ho jā.egā
palkoñ pe us kī jale bujheñge jugnū jab mirī yādoñ ke
kamre meñ hoñgī barsāteñ ghar jañgal ho jā.egā
jis din us kī zulfeñ us ke shānoñ par khul jā.eñgī
us din sharm se paanī paanī ḳhud bādal ho jā.egā
jab bhī vo pākīza dāman aa jā.egā haath mire
āñkhoñ kā ye melā paanī gañgā-jal ho jā.egā
us kī yādeñ us kī bāteñ us kī vafā.eñ us kā pyaar
kis ko ḳhabar thī jiinā mushkil ek ik pal ho jā.egā
mat ghabrā ai pyāse dariyā sūraj aane vaalā hai
barf pahāḌoñ se pighlī to jal hī jal ho jā.egā
Top Urdushayar.com