Tahir Faraz

sukun-e-dil mein wo ban ke jab intishaar utra to maine dekha

Tahir Faraz

sukūn-e-dil meñ vo ban ke jab intishār utrā to maiñ ne dekhā
na dekhtā par lahū meñ vo baar baar utrā to maiñ ne dekhā
na āñsuoñ hī meñ vo chamak thī na dil kī dhaḌkan meñ vo kasak thī
sahar ke hote hī nashsha-e-hijr-e-yār utrā to maiñ ne dekhā
udaas āñkhoñ se tak rahā thā mujhe vo chhūTā huā kinārā
shikasta kashtī se jab maiñ dariyā ke paar utrā to maiñ ne dekhā
jo barf āñkhoñ meñ jam chukī thī vo dhīre dhīre pighal rahī thī
jab aa.ine meñ vo merā ā.īna-dār utrā to maiñ ne dekhā
the jitne vahm-o-gumān vo sab na.ī haqīqat meñ Dhal chuke the
ik aadmī par kalām-e-parvardigār utrā to maiñ ne dekhā
na jaane kab se sisak rahā thā qarīb aate jhijak rahā thā
makāñ kī dahlīz se vo jab ashk-bār utrā to maiñ ne dekhā
ḳhayāl-e-jānāñ tirī badaulat 'farāz' hai kitnā ḳhūb-sūrat
dimāġh-o-dil se haqīqatoñ kā ġhubār utrā to maiñ ne dekhā
Top Urdushayar.com