Iqra Afiya

KHwab aaseb se ban nikle meri aankhon se

Iqra Afiya

1994
ḳhvāb aaseb se ban nikle mirī āñkhoñ se
log aise to nahīñ Darte mirī āñkhoñ se
band TuuTā jo mire dil meñ basī aahoñ kā
phuuT nikle haiñ ka.ī chashme mirī āñkhoñ se
raunaqeñ vasl kī phir hijr kī vahshat haa.e
tum ne dekhe haiñ kahāñ mele mirī āñkhoñ se
kitnī ḳhushiyoñ se sajā.e the tire ḳhvāb magar
ab to rātoñ ko haiñ vo rote mirī añkhoñ se
dekhne vaalā har ik shaḳhs yahī kahtā hai
phuul sūkhe bhī lageñ achchhe mirī āñkhoñ se
ḳhud ko dekhūñ to tirā aks nazar aatā hai
kitne hone lage haiñ dhoke mirī āñkhoñ se
terī 'iqrā' ke sabhī sher haiñ bāteñ terī
tere qisse hī sadā mahke mirī āñkhoñ se
Top Urdushayar.com