kuufe ke qarīb ho gayā hai
lahore ajiib ho gayā hai
har dost hai mere ḳhuuñ kā pyāsā
har dost raqīb ho gayā hai
har aañkh kī zulmatoñ se yaarī
har zehn muhīb ho gayā hai
kyā hañstā hañsātā shahr yaaro
hāsid kā nasīb ho gayā hai
phailā thā masīh-e-vaqt ban kar
simTā to salīb ho gayā hai
kāġhaz pe ugal rahā hai nafrat
kam-zarf adiib ho gayā hai
is shahr ke dil nahīñ hai 'zulfī'
ye shahr ġharīb ho gayā hai