kyuuñ jal-bujhe kahīñ to giraftār bolte
zindāñ meñ chup rahe to sar-e-dār bolte
ghar ghar yahāñ thā gosh-bar-āvāz der se
aatī sadā to sab dar-o-dīvār bolte
hotā tumhāre ḳhuun kā dariyā jo maujzan
tūfāñ samundaroñ meñ ba-yak-bār bolte
detā tumhārā nutq dahā.ī to fitratan
lauh-o-qalam ke baam se fankār bolte
tum bolte agar to tumhārī nidā ke saath
bastī ke saare kūcha-o-bāzār bolte
ab ḳhalvatoñ meñ shor machāne se fā.eda
thā hausla to bar-sar-e-darbār bolte
dast-e-ḳhizāñ thā ḳhāna-bar-andāz jis ghaḌī
kyuuñ guñg the chaman ke parastār bolte
sūraj ne kitne jism jalā.e haiñ raah meñ
itnā to zer-e-sāya-e-dīvār bolte
laatā vafā kī jins jo bāzār meñ koī
bolī ba-qadr-e-zarf-e-ḳharīdār bolte
'zulfī' kalī kalī meñ machaltā nayā lahū
aatā vo sail-e-rañg ki gulzār bolte