Saif Zulfi

dil ke shajar ko KHun se gulnar dekh kar

Saif Zulfi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1934-1991
dil ke shajar ko ḳhuun se gulnār dekh kar
ḳhush huuñ na.ī bahār ke āsār dekh kar
sahrā bhale ki zehan ko kuchh to sukūñ mile
ghabrā gayā huuñ shahar ke bāzār dekh kar
aage baḌhe to tīrgī-e-shab ne aa liyā
nikle the ghar se sub.h ke āsār dekh kar
aañsū gire to dil kī zamīñ aur jal uThī
barsā hai abr ḳhaak kā me.aar dekh kar
saare jahāñ ko halqa-e-mātam samajh liyā
apnā vajūd nuqta-e-pur-kār dekh kar
auroñ ko tū ne daulat-e-kaunain baañT dī
ġham mujh ko de diyā hai sazā-vār dekh kar
baiThe to aañch dene lagī pīpaloñ kī chhāñv
aa.e the log sāya-e-ashjār dekh kar
jis tarah koī bachhḌā huā dost mil gayā
ham muskurā diye rasan-o-dār dekh kar
baiThā huuñ apne fikr ke saa.e meñ der se
har āshnā ko un kā taraf-dār dekh kar
'zulfī' dukhoñ kī dhuup meñ jalte hue badan
bādal guzar gayā hai ka.ī baar dekh kar
Top Urdushayar.com