Saif Zulfi

sine ki aag aatish-e-mahshar ho jis tarah

Saif Zulfi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1934-1991
siine kī aag ātish-e-mahshar ho jis tarah
yuuñ maujzan hai ġham ki samundar ho jis tarah
zaḳhmoñ se yuuñ hai jism kī dīvār zau-fagan
sho.aloñ kā raqs shāḳh-e-shajar par ho jis tarah
bādal kā shor hāñpte peḌoñ kī bebasī
yuuñ dekhtā huuñ mere hī andar ho jis tarah
uḌte hue ġhubār meñ āñkhoñ kā dasht bhī
kuchh yuuñ lagā ki ḳhushk samundar ho jis tarah
bastī ke ek moḌ pe barsoñ se ik khañDar
yuuñ nauhagar hai merā muqaddar ho jis tarah
vīrāniyoñ kā kis se gilā kījiye ki dil
itnā udaas hai ki luTā ghar ho jis tarah
sukh kī ugī na dhuup na dukh kī miTī lakīr
yuuñ hai mirā nasīb ki patthar ho jis tarah
ehsās meñ shadīd talātum ke bāvajūd
chup huuñ mujhe sukūn mayassar ho jis tarah
yuuñ hasratoñ ke ḳhuuñ kī mahak meñ basā hai dil
mehñdī-rachā vo haat mo.attar ho jis tarah
pyāsā huuñ paas hai vo chamaktā huā badan
yuuñ haat kāñptā hai koī Dar ho jis tarah
patthar na jaan tujh ko dikhā.ūñgā āb-o-tāb
yuuñ qaid huuñ ki siip meñ gauhar ho jis tarah
'zulfī' ko khīñcho! daar pe dīvār meñ chuno
sach boltā hai yuuñ ki payambar ho jis tarah
Top Urdushayar.com