ab kyā gila kareñ ki muqaddar meñ kuchh na thā
ham ġhota-zan hue to samundar meñ kuchh na thā
dīvāna kar ga.ī tirī tasvīr kī kashish
chūmā jo paas jā ke to paikar meñ kuchh na thā
apne lahū kī aag hameñ chāTtī rahī
apne badan kā zahr thā sāġhar meñ kuchh na thā
dekhā to sab hī la.al-o-javāhar lage mujhe
parkhā jo dostoñ ko to aksar meñ kuchh na thā
sab rañg sail-e-tīrgī-e-shab se Dhal ga.e
sab raushnī ke aks the manzar meñ kuchh na thā