lahje kā rañg lafz kī ḳhushbū bhī dekh le
aa mujh se kar kalām mujhe tū bhī dekh le
maiñ chaudhvīñ kā chāñd samundar tirā badan
merī kashish kā boltā jaadū bhī dekh le
khultā huuñ tere ruḳh kī sajal chāñdnī ke paas
pahchān le mujhe mirī ḳhushbū bhī dekh le
tū ḳhār-zār aur maiñ abr-e-barhana-pā
mere safar kā karb kabhī tū bhī dekh le
ik shab ridā-e-abr se bāhar nikal ke aa
kis kis ko hai nigāh pe qaabū bhī dekh le
mere lahū kī gūñjtī fariyād par na jā
āñkhoñ meñ apnī tairte aañsū bhī dekh le
manzil pe sirf chalte hue chāñd hī na dekh
chamke kahīñ jo raah meñ jugnū bhī dekh le
dast-e-sabā kī Therī huī loriyoñ se bach
dasht-e-vafā meñ chaltī huī lū bhī dekh le
ghere meñ āsmāñ ne tujhe le liyā to kyā
is daam se farār kā pahlū bhī dekh le
sachchā.ī kā alam tū uThātā to hai magar
kaTte haiñ is jihād meñ baazū bhī dekh le
barham hai roz-o-shab kā mizāj-e-sukūñ-pasand
bikhrā diye haiñ vaqt ne gesū bhī dekh le
gunjān pāniyoñ pe barasne se fā.eda
ai abr tishnagān-e-lab-e-jū bhī dekh le
'zulfī' jo mere tarz-e-adā kā asiir hai
vo kaash mere sher kā jaadū bhī dekh le