Saif Zulfi

yaadon ki gunj zehn se bahar nikaliye

Saif Zulfi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1934-1991
yādoñ kī guuñj zehn se bāhar nikāliye
gumbad na chīḳh uTThe koī dar nikāliye
khul jā.iye baraste hue abr kī tarah
jo chiiz dil meñ hai use bāhar nikāliye
ban kar dikhā.iye kisī bahzād kā javāb
patthar tarāsh kar koī paikar nikāliye
rakhiye shanāvarī kā bharam kuchh na kuchh zarūr
motī na haath aa.e to patthar nikāliye
manzūr hai ġhurūr-e-ḳhizāñ kī agar shikast
gulshan se rañg-o-nūr ke lashkar nikāliye
qādir hai bahr-o-bar pe jo insāñ to aap bhī
ḳhat khīñch kar zamīñ se samundar nikāliye
rakhiye ba-azm-e-ḳhās rah-e-zīst meñ qadam
manzil baḌī kaThin hai magar Dar nikāliye
dushman bhī tiir joḌ ke baiThā hai ghaat meñ
ḳhandaq se dekh-bhāl ke ab sar nikāliye
phir dost ko lagā.iye dil se ba-sad-ḳhulūs
phir apnī āstīn se ḳhanjar nikāliye
phir chhā rahī hai dajla-e-mahtāb par ghaTā
is tīrgī se phir koī manzar nikāliye
jo ho sake to vaqt kī zanjīr toḌ kar
shām-o-sahar kā paañv se chakkar nikāliye
'zulfī' galī meñ aaj bahut tez hai havā
is kāġhzī-badan ko na bāhar nikāliye
Top Urdushayar.com