ashkoñ meñ qalam Dubo rahā hai
fankār javān ho rahā hai
maqtal ke dikhā rahā hai manzar
kāġhaz ko lahū se dho rahā hai
zālim ko sikhā rahā hai insāf
patthar meñ daraḳht bo rahā hai
parbat se laḌā rahā hai āñkheñ
miTTī se tulūa ho rahā hai
haarī huī raat kā saverā
ġhunchoñ kī jabīñ bhigo rahā hai
zarre ko banā ke ek quvvat
ḳhud apnā maqām kho rahā hai
lohe ko ajal kī dhaar de kar
ḳhud is kā shikār ho rahā hai
mahloñ meñ nahīñ kisī ko ārām
fōt-pāth pe koī so rahā hai
chhūtā nahīñ Dar se phuul koī
kāñToñ ko koī piro rahā hai
ḳhandāñ haiñ galī galī sitāre
ghar ghar kā charāġh ro rahā hai
siine meñ koī ḳhayāl 'zulfī'
sūiyāñ sī chubho chubho rahā hai