mahkā hai zaḳhm zaḳhm havā.eñ haiñ manchalī
barsā hai terī yaad kā sāvan galī galī
dīvār-o-dar to raah meñ haa.il na ho sake
aage baḌhūñ to paañv pakaḌtī hai bekalī
ik māhtāb thā ki pighaltā chalā gayā
ik sham.a thī ki saath mire raat bhar jalī
vo raushnī jo tū ne hameñ dī thī din Dhale
vo raushnī bhī ham ne luTā dī galī galī
ye aur baat ham hī ujāloñ se duur haiñ
varna hamīñ ne terī jabīñ par shafaq malī
saa.e kā ik naqāb sā ruḳh par bikhar gayā
yaaro sahar jo us ke garebān se Dhalī
shoa.la-fishāñ hai shiddat-e-idrāk se badan
ik karb ke alaav se dīvāngī bhalī
lau de uThī haiñ biite dinoñ kī rifāqateñ
bujhte sharar bhī aag bane vo havā chalī