bechain huuñ ḳhūnāba-fishānī meñ ghirā huuñ
bhīge hue lafzoñ ke ma.ānī meñ ghirā huuñ
jo peḌ pakaḌtā huuñ ukhaḌ jaatā hai jaḌ se
sailāb ke dhāre kī ravānī meñ ghirā huuñ
mafhūm kā sāhil to nazar aatā hai lekin
maiñ der se gardāb-e-ma.ānī meñ ghirā huuñ
ab log sunāte haiñ mujhe mere hī qisse
maiñ phail ke apnī hī kahānī meñ ghirā huuñ
amboh-e-mah-o-sāl kā kyā baar uThegā
Thahre hue lamhe kī girānī meñ ghirā huuñ
jis shaḳhs ko chāhā hai usī shaḳhs ke kāran
'zulfī' maiñ kisī karb-e-bayānī meñ ghirā huuñ