saa.e jo sañg-e-rāh the raste se haT ga.e
dil jal uThā to ḳhud hī añdhere simaT ga.e
din bhar jale jo dhuup ke bistar pe dosto
sūraj chhupā to chādar-e-shab meñ simaT ga.e
vo karb thā ki dil kā lahū aañch de uThā
aisī havā chalī ki garebān phaT ga.e
vo fikr thī ki dīda-o-dil muzmahil hue
vo gard thī ki ghar ke dar-o-bām aT ga.e
aa.ī jo mauj paañv zamīñ par na jam sake
dariyā chaḌhā to kitne safīne ulaT ga.e
phailā ġhubār-e-ġham to kahīñ muñh chhupā liyā
āñdhī uThī to ghar ke sutūñ se lipaT ga.e
kahte the jis ko qurb vahī fāsla banā
badlā jo ruḳh nadī ne ka.ī shahr kaT ga.e
gumnām the to sab kī taraf dekhte the ham
shohrat milī to apnī ḳhudī meñ simaT ga.e
dastak huī to dil kā darīcha na khul sakā
aa.e aur aa ke yaad ke jhoñke palaT ga.e
maiñ ḳhud hī apnī raah kā patthar banā rahā
har chand aap bhī mire raste se haT ga.e
dil ko kisī kī yaad kā ġham chāTtā rahā
yuuñ merī zindagī ke ka.ī saal ghaT ga.e
zindān-e-ġham kā dhyān bhī ḳhanjar se kam na thā
zanjīr kī khanak se mire paañv kaT ga.e
riste raheñge dīda-e-hasrat se umr bhar
'zulfī' jo zaḳhm pā-e-talab se chimaT ga.e