Saif Zulfi

tanhai ke shoalon pe machalne ke liye tha

Saif Zulfi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1934-1991
tanhā.ī ke sho.aloñ pe machalne ke liye thā
kyā mujh sā javāñ aag meñ jalne ke liye thā
kyā kātib-e-taqdīr se zaḳhmoñ kī shikāyat
jo tiir thā tarkash meñ so chalne ke liye thā
jaltā hai mire dil meñ paḌā daaġh kī sūrat
jo chāñd sar-e-arsh nikalne ke liye thā
is jhiil meñ tujh se bhī koī lahr na uThī
aur tū mirī taqdīr badalne ke liye thā
māyūs na jā aa ġham-e-daurāñ mire nazdīk
tū hī mirī bāñhoñ meñ machalne ke liye thā
ye Dastī huī raat guzar jā.egī yaaro
vo hañstā huā din bhī to Dhalne ke liye thā
kuchh aañch mire lams kī garmī se bhī pahuñchī
vo barf sā paikar bhī pighalne ke liye thā
tafrīq ne mulkoñ kī tarāshe haiñ aqā.ed
insān bas ik raah pe chalne ke liye thā
zinda hai mirī fikr mire karb se 'zulfī'
ye phuul isī shāḳh pe phalne ke liye thā
Top Urdushayar.com