itne dukhī haiñ ham ko masarrat bhī ġham bane
amrit hamāre hoñT se mas ho to sam bane
ro.e ba-rañg-e-abr farishte bhī gūñdh kar
kis dasht-e-ashk-o-āh kī miTTī se ham bane
kuchh aur bhī to shīsh-mahal rāste meñ the
kyuuñ ham faqat nishāna-e-sañg-e-sitam bane
āñkhoñ ke sāmne hai shikasta dar-e-sukūñ
ham tak rahe haiñ der se tasvīr-e-ġham bane
barse haiñ dasht-e-zīst meñ ham par vo sañg-o-ḳhisht
yakjā simaT ke aa.eñ to koh-e-alam bane
lahje ke bāñkpan meñ chhupāte haiñ dil kā soz
ham aise rakh-rakhāo ke fankār kam bane
jo dāstāñ miTā.ī ziyāda likhī ga.ī
jitne hamāre haath tarāshe qalam bane
'zulfī' vo sarzamīñ ki jahāñ dafn hai 'shakeb'
vo kyuuñ na ahl-e-fan ke liye mohtaram bane