Syed Muneer

gali kuchon mein jab sab jal-bujha aahista aahista

Syed Muneer

galī kūchoñ meñ jab sab jal-bujhā āhista āhista
gharoñ se kuchh dhuāñ uThtā rahā āhista āhista
ka.ī bechainiyoñ kī shiddat-e-iz.hār kī ḳhātir
mujhe har lafz par ruknā paḌā āhista āhista
adam hastī fanā aur phir baqā ik dā.era sā hai
samajh meñ aa hī jā.egā ḳhudā āhista āhista
masīhā.ī kī sub.hoñ sabr kī rātoñ ke āñgan meñ
lahū bahtā rahā bahtā rahā āhista āhista
fasīl-e-shahr bante hī chale aa.e alam us ke
mirī pahchān kā parcham khulā āhista āhista
itā.at meñ bhī tahrīm-e-anā kī fikr lāzim hai
sar-e-taslīm bhī apnā jhukā āhista āhista
'munīr' ahl-e-tahammul kā junūñ se vāsta kyā hai
mohabbat jur.a jur.a aur vafā āhista āhista
Top Urdushayar.com