Syed Muneer

humse pahle to koi yun na phira aawara

Syed Muneer

ham se pahle to koī yuuñ na phirā āvāra
dard āvāra dil āvāra vafā āvāra
kyā use mil ga.ī kuchh tere badan kī ḳhushbū
aaj phūloñ meñ nahīñ aa.ī sabā āvāra
jis kī nuzhat se do-bālā thī vatan kī raunaq
shahr se duur mujhe vo bhī milā āvāra
maiñ ne kab mujh se na milne kā gilā tum se kiyā
ab mujhe tum na kaho bahr-e-ḳhudā āvāra
phir tirī yaad ne siine meñ baserā Daalā
phir tire shahr meñ ābād huā āvāra
be-karāñ vaqt kī bandish se milī āzādī
chand lamhoñ ke liye maiñ bhī huā āvāra
tohmat-e-qadr bhī hai jabr kī rusvā.ī meñ
pā-ba-zanjīr ko bhī tum ne kahā āvāra
dhuup hai taptī huī ret hai vīrānī hai
aaj dekhā nahīñ vo ābla-pā āvāra
bevafā logoñ ke hāthoñ se chhuḌā kar dāman
dil meñ kis shauq se phirtī hai vafā āvāra
sochtā huuñ ki use jab na mile sharaf-e-qubūl
kin ḳhalāoñ meñ bhaTaktī hai duā āvāra
ek āñdhī ġham-e-jānāñ kī zarā Thahrī thī
ik bagūlā ġham-e-daurāñ kā uThā āvāra
kitnī āñkhoñ ke ta.āqub se hirāmāñ ho kar
kunj-e-tanhā.ī meñ ābād huā āvāra
ruḳh-e-raushan kī jhalak shart-e-vafā hai jānāñ
terī galiyoñ kā pata bhuul gayā āvāra
ḳhema-zan phir se huī sehn-e-chaman bād-e-sumūm
phir mire saath huī bād-e-sabā āvāra
manzil-e-ishq pe pahuñche to koī saath na thā
dil judā ḳhāk-basar aañkh judā āvāra
nutq vīrān hai alfāz pareshāñ haiñ 'munīr'
soch hai sañg-e-girāñ aur sadā āvāra
Top Urdushayar.com