sāya-e-zulm sar-e-ḳhalq-e-ḳhudā hotā hai
jab bhī parcham shab-e-yaldā kā khulā hotā hai
jānte bhī haiñ ki hai zulm kī bālā-dastī
ye bhī kahte haiñ ki bandoñ kā ḳhudā hotā hai
rāt-bhar jāgne vāloñ ne batāyā hai hameñ
rāt-bhar shahr kā darvāza khulā hotā hai
vahī parkār-e-jafā aur vahī qirtās-e-vatan
dā.era jabr kā har samt khiñchā hotā hai
ab to ye haal huā hai ki har ik raste par
raah roke hue ik rāh-numā hotā hai
nisbat-e-ahd-e-guzishta se ba-qaul-e-'ġhālib'
roz is shahr meñ ik hukm nayā hotā hai
sab samajhte haiñ 'munīr' aur kahe jaate haiñ
kuchh samajh meñ nahīñ aatā hai ki kyā hotā hai