Syed Muneer

tark-e-ulfat mein koi yakta na tha

Syed Muneer

tark-e-ulfat meñ koī yaktā na thā
maiñ akelā thā magar tanhā na thā
baaġh thā lekin tirā chehrā na thā
ḳhema-e-gul meñ koī rahtā na thā
jis mohabbat se tirī shohrat huī
is meñ shāyad kuchh tirā hissa na thā
dil ko vīrāñ kar gayā zehnī shu.ūr
dard thā par dard kā yaarā na thā
kuchh mire kirdār meñ likkhā thā ġham
kuchh mirā radd-e-amal bejā na thā
ghar banā leñge kisī bastī meñ aur
ham ne is maqsad se ghar chhoḌā na thā
dostī par jis kī mujh ko naaz ho
dost merā ek bhī aisā na thā
husn terā umr-bhar likhte rahe
sher merā ek bhī tujh sā na thā
muddatoñ maiñ ne shikāyat tak na kī
muddatoñ vo mere paas aatā na thā
ab to har ik dost kā kahnā paḌā
mujh se behtar thā magar mujh sā na thā
jis ko dohrātā rahā barsoñ 'munīr'
us ke apne dard kā qissa na thā
Top Urdushayar.com