rivāj-o-rasm kā us ko hunar bhī aatā hai
mujhe bulātā bhī hai mere ghar bhī aatā hai
badan kā husn damaktā hai raat añdhere meñ
ik āftāb-e-sahar be-sahar bhī aatā hai
judā.iyoñ meñ faqat ghar se dūriyāñ to nahīñ
firāq sūrat-e-dīvār-o-dar bhī aatā hai
mohabbatoñ meñ ghulā jism yaad hai mujh ko
kabhī raqīb mirā mere ghar bhī aatā hai
tire ḳhayāl meñ tere jamāl kā partav
misāl-e-mauj bhī misl-e-guhar bhī aatā hai
faqat ḳhulūs meñ shiddat kī baat hai ya.anī
maqām dil meñ hai aur be-safar bhī aatā hai
ḳhudā ne husn diyā hai tujhe kamāl magar
use sajāne kā tujh ko hunar bhī aatā hai
ye kaun hai ki kahīñ baiThne nahīñ detā
uThūñ to saath mire dar-ba-dar bhī aatā hai
'munīr' sub.h ke Dhalte hī lau lagī chalne
azaab surat-e-bād-e-sahar bhī aatā hai