bahār-e-zaḳhm-e-lab-e-ātishīñ huī mujh se
kahānī aur asar-āfrīñ huī mujh se
maiñ ik sitāra uchhālā to nuur phail gayā
shab-e-firāq yūñhī dil-nashīñ huī mujh se
gulāb thā ki mahakne lagā mujhe chhū kar
kalā.ī thī ki bahut marmarīñ huī mujh se
baġhal se saañp nikāle to ho gayā badnām
ḳharāb achchhī tarah āstīñ huī mujh se
kahāñ se aa.ī hai ḳhushbū mujhe bhī hairat hai
ye raat kaise gul-e-āsmīñ huī mujh se
maiñ apne phuul khilā.e haiñ us kī jhāḌī par
qabā-e-yār bahut reshmīñ huī mujh se
bas ek bosa diyā thā kisī ke māthe par
tamām-shahr kī raushan jabīñ huī mujh se
ġhazal sunī to bahut dil se ḳhush huā 'ātif'
magar ġhazal kī satā.ish nahīñ huī mujh se