itnā hī bahut hai ki ye bārūd hai mujh meñ
añgāra-numā shaḳhs bhī maujūd hai mujh meñ
poroñ se nikal aa.ī hai ik barf kī Tahnī
ai dost yahī ātish-e-namrūd hai mujh meñ
har geñd ke pīchhe koī aatā hai hamesha
ye kaun se bachche kī uchhal-kūd hai mujh meñ
gaalī nahīñ achchhī to tumheñ pesh karūñ kyā
ik aur bhī jumla suḳhan-ālūd hai mujh meñ
maiñ dekhtā rahtā huuñ ki vo khiḌkī hai ḳhālī
tā-hāl yahī raunaq-e-be-sūd hai mujh meñ
yūñhī to nahīñ log guzarte mire dil se
lagtā hai koī manzil-e-maqsūd hai mujh meñ