tumheñ gilā hī sahī ham tamāsha karte haiñ
magar ye log bhī kyā kam tamāsha karte haiñ
dikhā.ī dete nahīñ avvalan mire darvesh
kahīñ mileñ to ba-raqsam tamāsha karte haiñ
ye ḳhaas bhiiḌ hai marhūm bādshāhoñ kī
yahāñ sikandar-e-āzam tamāsha karte haiñ
sharīk-e-kār-e-ibādat nahīñ rahe ki ye log
darūn-e-majlis-e-mātam tamāsha karte haiñ
bas ek paañv thiraktā hai rāt-din mujh meñ
chahār-sū ka.ī aalam tamāsha karte haiñ
khulā hai aaj bhī us ḳhānqāh-e-ishq kā dar
malañg aaj bhī paiham tamāsha karte haiñ
tuyūr dekhne aate haiñ merī ek jhalak
hazār bargad-o-shīsham tamāsha karte haiñ
ye shahr majma-e-ḳhālī se gar nahīñ hai ḳhush
to aao mil ke azīzam tamāsha karte haiñ
kuchh aise log haiñ mere bhī milne vaale log
jo bar-janāza-o-chihlum tamāsha karte haiñ