havā aa.ī na īñdhan aa rahā hai
charāġhoñ meñ nayā-pan aa rahā hai
jamāl-e-yār tere jhāñkne se
kueñ se paanī raushan aa rahā hai
maiñ galiyoñ meñ nikalnā chāhtā huuñ
mire raste meñ āñgan aa rahā hai
mujhe shahtūt kī ḳhvāhish bahut thī
magar mujh par to jāman aa rahā hai
miyāñ maiñ apnī jānib aa rahā huuñ
ḳhabar kar do ki dushman aa rahā hai
mujhe ḳhairāt bāñTī jā rahī hai
mire hāthoñ meñ bartan aa rahā hai
gale meñ haar aanā chāhiye thā
gale meñ tauq-e-gardan aa rahā hai