zañg-ḳhurda lab achānak āftābī ho ga.e
us gul-e-ḳhush-rañg ko chhū kar gulābī ho ga.e
is ġhazal par āyat-e-paiġhambarī utrī hai kyā
log kahte haiñ ki sab misre sahābī ho ga.e
jhūmne lagte haiñ us ko dekhte hī baaġh meñ
aise lagtā hai parinde bhī sharābī ho ga.e
ab to mujh par bhī nahīñ khultā hai darvāza mirā
tum to aate hī mire kamre kī chābī ho ga.e
dost ādam-ḳhor chiḌiyoñ se abhī hai vāsta
kyā karūñgā jab kabūtar bhī uqābī ho ga.e