Rasheed lakhnavi

Thahar jawed ke arman dil-e-muztar nikalte hain

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917
Thahar jāved ke armāñ dil-e-muztar nikalte haiñ
khaḌe haiñ muntazir ham ghar se vo bāhar nikalte haiñ
asīrān-e-kuhan ma.atūb ho ho kar nikalte haiñ
ki zindāñ se janāze uThte haiñ bistar nikalte haiñ
nahīñ ma.alūm muñh se dil jigar kyūñkar nikalte haiñ
ham un se pūchh leñge chhoḌ ke jo ghar nikalte haiñ
ḳhabar letā nahīñ ġhurbat meñ koī pā-shikasta kī
jahāñ ham haiñ udhar se qāfile aksar nikalte haiñ
kabhī madfūñ hue the jis jagah par kushta-e-abrū
abhī tak is zamīñ se saikḌoñ ḳhanjar nikalte haiñ
har ik ma.ashūq ke daftar meñ ham maqtūl likhe haiñ
jahāñ dekho hamāre naam ke daftar nikalte haiñ
nahīñ hai ek harf-e-talḳh kī jaago mire dil meñ
magar pūchho to shikvoñ ke abhī daftar nikalte haiñ
javānī se takalluf baḌh gayā hai mere saaqī kā
sharāb-e-kohna aa.ī hai na.e sāġhar nikalte haiñ
hazāroñ mufside dar par bapā rahte haiñ ai qātil
tire kūche se lākhoñ fitna-e-mahshar nikalte haiñ
abhī fursat nahīñ ai ahl-e-mahshar sab farishtoñ ko
Thahar jaao mire a.amāl ke daftar nikalte haiñ
jo kar ke zabt saath ashkoñ ke haiñ aane nahīñ detā
sadā detā hai dil pahlū se ham bāhar nikalte haiñ
huā hai saḳht mushkil dafn honā tere vahshī kā
jahāñ par qabr khodī jaatī hai patthar nikalte haiñ
bahār aa.ī mubārak āshiq-o-māshūq ko milnā
ki kaliyāñ phūTtī haiñ bulbuloñ ke par nikalte haiñ
sivā qalb-o-jigar ke mumlikat meñ ishq kī kyā hai
agar DhūñDho to ye ujḌe hue do ghar nikalte haiñ
nazar ke ḳhauf se katrī ga.iiñ haiñ in kī vaañ palkeñ
mirī rag rag se yaañ TuuTe hue nashtar nikalte haiñ
samajh ke jin ko jugnū bāñdhte ho apne dāman meñ
sharar ye shab ko mere dil se ai dilbar nikalte haiñ
nishāñ qalb-o-jigar kā āñsuoñ se saaf kyā pā.ūñ
ki vo to kashtiyāñ Duubī haiñ sau lañgar nikalte haiñ
kashīda un ke abrū haiñ nigāheñ tez hotī haiñ
kamāneñ khiñch rahī haiñ miyān se ḳhanjar nikalte haiñ
jigar dil aate haiñ āñkhoñ se bāhar jam.a haiñ aañsū
ki apne mulk se sultāñ ma-e-lashkar nikalte haiñ
ḳhayāl itnā to hai tere gale kā haar huuñ shāyad
gul-e-tar baaġh se hañste hue bāhar nikalte haiñ
jahannam se koī kah de zarā hoshiyār ho jaa.e
ġhazab kā vaqt hai qabroñ se dāman tar nikalte haiñ
tavaqqo uTh ga.ī aane kī bilkul yuuñ uThāyā hai
ki aaj un kī galī se ham ma-e-bistar nikalte haiñ
karūñ kyūñkar na tāzīm us kī maiñ laa.e jo ḳhat us kā
ki aksar is tarah ke log paiġhambar nikalte haiñ
qafas meñ ham-safīrān-e-chaman kyuuñ chhoḌe jaate ho
zarā do din Thahar jaao hamāre par nikalte haiñ
jigar-dārī kā da.avā miT gayā har shaḳhs kahtā hai
jo donoñ haath ham rakkhe hue dil par nikalte haiñ
'rashīd' āġhāz-e-ulfat se kahīñ anjām behtar hai
ki bahr-e-ishq ke Duube lab-e-kausar nikalte haiñ
Top Urdushayar.com