josh-e-vahshat mere talvoñ ko ye iizā bhī sahī
haiñ jahāñ sau aable kuchh ḳhār-e-sahrā bhī sahī
dil meñ sau bāteñ haiñ ik terī tamannā bhī sahī
sar pe haiñ laakh āfateñ ik dāġh-e-saudā bhī sahī
muñh pe āñchal lījiye mujh se jo aatā hai hijāb
gar yahī manzūr hai thoḌā sā parda bhī sahī
dil meñ vaqt-e-zab.h hai hasrat ki tum ko dekh leñ
marte marte ḳhair jiine kī tamannā bhī sahī
ham adam se yaañ na aate the to samjhātā thā dil
ik nazar gulzār-e-hastī kā tamāshā bhī sahī
merā hāl-e-saḳht-jānī sun ke farmāne lage
teġh ke saath ek abrū kā ishārā bhī sahī
garm aaheñ kar chukā ab khīñchtā huuñ sard aah
lījiye ThanDī havā kā ek jhoñkā bhī sahī
kyuuñ bigaḌiye husn-o-rif.at meñ kise inkār hai
aap yūsuf bhī sahī rashk-e-masīhā bhī sahī
apne dil ko gar pasand aa.e to jāneñ ḳhuub hai
ham ne maanā yaar tum se koī achchhā bhī sahī
tīra-baḳhtoñ ke mazāroñ par na hogī raushnī
aazmā dekho charāġh-e-dast-e-mūsā bhī sahī
chārasāzoñ kī ḳhushī hai zaḳhm par hoñ yā na hoñ
marham-e-zañgār kā ek-ādh phāhā bhī sahī
tere sar se paañv tak barsoñ meñ jaatī hai nazar
har jagah par kahtī hai yaañ kā tamāshā bhī sahī
dil jigar meñ kuchh nahīñ siine meñ haiñ par aas hai
bazm kī zīnat ko ḳhālī jām-o-mīnā bhī sahī
ye to zāhir ho gayā tum martabe meñ ho buland
ab masīhā se masīhā.ī kā da.avā bhī sahī
us ke dar par jā ke kuchh hāsil na hogā ai 'rashīd'
koī bolā bhī sahī tum ne pukārā bhī sahī