Rasheed lakhnavi

surKH ho jata hai munh meri nazar ke bojh se

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917
surḳh ho jaatā hai muñh merī nazar ke bojh se
kyā banegī zevar-e-gul-hā-e-tar ke bojh se
yuuñ hue haiñ ḳhaak ba.ad-e-dafn tere nā-tavāñ
pis ga.e haiñ chādar-e-gul-hā-e-tar ke bojh se
sharm go kam ho ga.ī par nāzukī ko kyā kareñ
ab jhuke jaate haiñ ḳhud apnī nazar ke ke bojh se
uf rī terī nā-tavānī lāġharī allāh re zo.af
ek hī karvaT se huuñ dāġh-e-jigar ke bojh se
hilte haiñ abrū tire bār-e-gul-e-ruḳhsār se
jis tarah shāḳheñ lachaktī haiñ samar ke bojh se
dil se aaheñ chal chukī haiñ ho gayā mumkin visāl
ab laboñ tak aa nahīñ saktīñ asar ke bojh se
yās-o-hasrat se ye bulbul kī girāñbārī huī
laakh man kā hai qafas ik musht-e-par ke bojh se
jāma-e-aslī bahut kohna huā hai ai 'rashīd'
chaak ho jaa.e na ashk-e-chashm-e-tar ke bojh se
Top Urdushayar.com