silsila-jumbān-e-vahshat meñ na.ī tadbīr se
tauq mannat ke badalte haiñ mirī zanjīr se
aap le jaa.eñ unheñ yā dil ke TukḌe joḌ deñ
merī ḳhātir jam.a ho jaa.e kisī tadbīr se
naza.a meñ bhī kī ga.iiñ ham par bahut sī saḳhtiyāñ
saikḌoñ tūfāñ uThe āb-e-dam-e-shamshīr se
naza.a meñ haiñ paañv mere kū-e-jānāñ kī taraf
chāhtā huuñ maiñ pahuñch jā.ūñ kisī tadbīr se
ik nazar insāf se kiije zarā sū-e-'rashīd'
āshiqāna kyā ġhazal ab ho sake is piir se