Rasheed lakhnavi

wasl ke din ka ishaara hai ki Dhal jaunga

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917
vasl ke din kā ishāra hai ki Dhal jā.ūñgā
dil ye kahtā hai ki qaabū se nikal jā.ūñgā
ātish-e-ishq baḌhī jaatī hai baiTho dam-bhar
garm-raftār rahoge to maiñ jal jā.ūñgā
intizār aap kā aisā hai ki dam kahtā hai
nigah-e-shauq huuñ āñkhoñ se nikal jā.ūñgā
dil se kahtā hai shab-e-vasl yahī shauq-e-visāl
maiñ vo armān nahīñ huuñ ki nikal jā.ūñgā
saikḌoñ zaḳhm lageñge na haTūñgā qātil
shajar-e-bāġh-e-mohabbat huuñ maiñ phal jā.ūñgā
ahd-e-tiflī se ye kahtā thā mizāj-e-jānāñ
dekh lenā ki javānī meñ badal jā.ūñgā
tifl-e-ashk aañkh tak aatā hai ye kahtā hai 'rashīd'
mujh ko mardum ne jo rokā to machal jā.ūñgā
Top Urdushayar.com