Rasheed lakhnavi

garm raftar hai teri ye pata dete hain

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917
garm raftār hai terī ye patā dete haiñ
dam-ba-dam lau tire naqsh-e-kaf-e-pā dete haiñ
hijr se karte haiñ nāshād hameñ vasl se shaad
ḳhud maraz dete haiñ aur aap shifā dete haiñ
dil kī tum baat samajhte ho zabāñ go na hile
ḳhuub sunte ho jo chupke se sadā dete haiñ
kam na samjheñ mirī aahoñ ke sharāroñ ko huzūr
aag abhī saare zamāne meñ lagā dete haiñ
tum ne ehsān kiyā hai ki namak chhiḌkā hai
ab mujhe zaḳhm-e-jigar aur mazā dete haiñ
un kī taqdīr meñ hai mere lahū meñ bharnā
ḳhuun kī bū tire dāmān-e-qabā dete haiñ
saaf karte haiñ abhī ġhair ye vo teġh-e-adā
dost aa ke mujhe paiġhām-e-qazā dete haiñ
jaago ai mumlikat-e-ishq ke sone vaalo
shab ko darbān-ए-dar-e-yār sadā dete haiñ
jitne shā.ir haiñ unhoñ ne hameñ izzat dī hai
ham 'rashīd' un ko shab-o-roz duā dete haiñ
Top Urdushayar.com