Rasheed lakhnavi

shurua ahl-e-mohabbat ke imtihan hue

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917
shurūa ahl-e-mohabbat ke imtihān hue
ab un ko naaz huā hai ki ham javān hue
sabhoñ kī aa ga.ī piirī jo tum javān hue
zamīñ kā dil huā miTTī ḳham āsmān hue
ġhazab se kam nahīñ hotā vafūr-e-rahmat bhī
maiñ Dar gayā vo ziyāda jo mehrbān hue
are zarā mire dil se ye koī pūchh aa.e
usī tarah vo ḳhafā haiñ ki mehrbān hue
khilā nayā koī gul duur duur pahuñchī bū
na kyuuñ jahāñ meñ ho shohrat ki vo javān hue
dil-o-jigar kī jagah daaġh tak nahīñ baaqī
jo nām-dār paḌe the vo be-nishān hue
dil-o-jigar meñ nahīñ jān-e-tan kā zikr hai kyā
hamāre marne se ḳhālī ka.ī makān hue
guzishtagāñ ke jo qisse bayān karte the
ab un ke zikr bhī kānoñ ko dāstān hue
evaz namāz-e-janāza ke mere lāshe par
tamām qissa-e-mehr-o-vafā bayān hue
gayā dil us kā vo aa baiThe jis ke pahlū meñ
bas us kī jaan ga.ī jis pe mehrbāñ hue
vo qatl karte magar rahm aa gayā hai 'rashīd'
ye mere naale mire vāste amaan hue
Top Urdushayar.com