Rasheed lakhnavi

jo mujhe marghub ho wo sogwari chahiye

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917
jo mujhe marġhūb ho vo sogvārī chāhiye
mere soyam meñ tumheñ poshāk bhārī chāhiye
taaza ho bāġh-e-tamannā ābiyārī chāhiye
aaj to ai chashm-e-tar kuchh ashk-bārī chāhiye
jab bahār aa.e to kab parhez-gārī chāhiye
sāl-bhar meñ chaar din to bāda-ḳhvārī chāhiye
dil jigar se jab maiñ kahtā huuñ nahīñ aa.egā yaar
kahte haiñ kuchh der to aur intizārī chāhiye
hoñ havās-o-hosh agar baaqī to kyā lutf-e-junūñ
dil na qaabū meñ ho vo be-aḳhtyārī chāhiye
raas aa.e tum ko mulk-e-ishq kī āb-o-havā
āshiqo har-vaqt shaġhl-e-āh-o-zārī chāhiye
vasl kī shab hai vo pahlū meñ haiñ to sone na de
haañ mire dil ab ziyāda be-qarārī chāhiye
maut bekār aatī hai marnā hamārā hai muhāl
aap kī talvār kā ik zaḳhm kaarī chāhiye
rote rote mar ga.e haiñ jo firāq-e-yār meñ
un ko bahr-e-ġhusl mayyat āb-e-jārī chāhiye
sīkhī un se dilrubā.ī aa ga.ī fasl-e-shabāb
āj-kal dil kī taraf se hoshiyārī chāhiye
sar na uTThe terī chaukhaT se na kūche se qadam
tauq bhārī chāhiye zanjīr bhārī chāhiye
ho ziyāda raushnī aur der tak baaqī rahe
merī sham-e-rūh ko mahfil tumhārī chāhiye
aap ke lāo-ni.am ne turfa dikhlāyā tilism
nā-umīdī kahtī hai ummīd-vārī chāhiye
tere chehre ke muqābil ho agar to is tarah
āftāb-e-hashr ko ā.īna-dārī chāhiye
ye tumhārī jā nahīñ āñkhoñ ke vā se haiñ ye dar
dil meñ duuñ tum ko jagah ye parda-dārī chāhiye
baḳhsh detā hai 'rashīd' allāh itnī baat par
kar ke isyāñ aadmī ko sharmsārī chāhiye
Top Urdushayar.com