Rasheed lakhnavi

agar gul ki koi pati jhaDi hai

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917
agar gul kī koī patī jhaḌī hai
to sau sau baar bulbul gir paḌī hai
nazar kyā jaa.e sū-e-shīsha-o-jām
hamārī aañkh saaqī se laḌī hai
ye hai josh-e-bahār un ke chaman meñ
ki har ik shāḳh phūloñ kī chhaḌī hai
sunī rif.at sulaimāñ kī to bole
hamārī ik añgūThī gir paḌī hai
tumhārī zulf se kam hai shab-e-hijr
magar roz-e-qayāmat se baḌī hai
ik aane kā hai ik jaane kā hañgām
ye qissa zindagī kā do-ghaḌī hai
nahīñ haTtī tumhāre chehre se zulf
ye shāyad bosa lene par aḌī hai
hazāroñ daaġh lākhoñ hasrateñ haiñ
hamāre dil kī bhī bastī baḌī hai
huā kyā jild-e-ḳhāk apnā tan-e-zār
jahāñ ham the vahāñ miTTī paḌī hai
mare haiñ dar pe ham vo pūchhte haiñ
ye kis kī laash raste meñ paḌī hai
jo dekhī hai nigāh-e-mast-e-sāqī
to bijlī laḌkhaḌā ke gir paḌī hai
jo apnā maal hogā ḳhair hogā
'rashīd' ab to hameñ dil kī paḌī hai
Top Urdushayar.com