maar Dālegī hameñ ye ḳhush-bayānī aap kī
maut kā paiġhām aa.egā zabānī aap kī
zindagī kahte haiñ kis ko maut kis kā naam hai
mehrbānī aap kī nā-mehrbānī aap kī
ba.ad-e-murdan khīñch laayā jazb-e-dil siine pe haath
ik añgūThī meñ jo pahne thā nishānī aap kī
baḌh chukā qad bhī faroġh-e-husn kī had ho chukī
ab to qābil dekhne ke hai javānī aap kī
aap se mil ke gale rāhat se aa jaatī hai niiñd
sabza-e-ḳhvābīda hai poshāk dhānī aap kī
rañg aalam kā badalnā aap ke sadqe meñ hai
jam.a kar rakkhī thiiñ poshākeñ purānī aap kī
āñkhoñ par bañdhvāī paTTī tā na dekhūñ aur ko
mar gayā maiñ par vahī hai bad-gumānī aap kī
jab vo mujh ko dekhtā hai hañs ke kahtā hai 'rashīd'
kitnī pāband-e-vafā hai zindagānī aap kī