raaz ulfat ke ayaañ raat ko saare hote
ham ka.ī baar unheñ ghabrā ke pukāre hote
sho.ala-e-husn ko rokā hai naqāb-e-ruḳh ne
abhī motī tire kānoñ ke sharāre hote
jānte the ki utāroge lahad meñ ham ko
maile kapḌe abhī tum ne na utāre hote
mere marne ke rahe muntazir ehsān kiyā
kyuuñ sahī aap ne taklīf sudhāre hote
sāmne mere raqīboñ ko dikhā.e abrū
aap ne us se to ḳhanjar mujhe maare hote
saath aahoñ ke shab-e-ġham meñ jo dil uḌ jaatā
aable auj ye paate ki sitāre hote
duur se bhī na huā yaar kā dīdār nasīb
ḳhair bāteñ na huī thiiñ to ishāre hote
ishq-bāzī na rahī dil jo gayā vaah 'rashīd'
dam nikal jaatā pa himmat to na haare hote