ham ajal ke aane par bhī tirā intizār karte
koī va.ada sach jo hotā to kuchh e.atibār karte
jo na sabr aur dam-bhar tire be-qarār karte
abhī barq kā tarīqa falak iḳhtiyār karte
agar itnī baat sunte ki hai ishq meñ musībat
kabhī ham na terī ḳhātir dil-e-be-qarār karte
dil-e-zār be-ḳhabar thā kiyā qatl to mazā kyā
ye sipah-garī hai pahle ise hoshiyār karte
yahī chāhte haiñ ai jaañ miTe ġham ki jaan jaa.e
abhī maut agar na aatī tirā intizār karte
ġham-o-dard-o-ranj sah ke tujhe dete ham dil apnā
inhīñ bevafā.iyoñ par tirā e.atibār karte
jo safar kā vaqt aayā na pukāre saath vaale
abhī aañkh lag ga.ī thī hameñ hoshiyār karte
jo ḳhilāf umiid ke ho to shikasta-ḳhātirī hai
ka.ī TukḌe dil ke hote jo tum ek vaar karte
vo na aa.e mar ga.e ham agar aate bhī to kyā thā
yahī jaan sadqe karte yahī dil nisār karte
hameñ jaan de ke maarā hameñ de ke dil miTāyā
na ġham-e-firāq hotā na ḳhayāl-e-yār karte
vo adā thī qatl-gah meñ ki bayān se hai bāhar
mire dil pe zaḳhm paḌtā vo kisī pe vaar karte
tirī samt kī tavajjoh na kabhī jahān-e-fānī
jo zarā sabāt paate to kuchh e.atibār karte
ḳhabar us kī pahle hotī ki na aa.egā ye ham ko
to 'rashīd' sher kā fan na ham iḳhtiyār karte