jis ko aadat vasl kī ho hijr se kyūñkar bane
jab uThe ye ġham ki dil kā aa.ina patthar bane
ab jo vo banvā.eñ gahnā yaad rakhnā gul-farosh
phuul bach jaa.eñ to merī qabr kī chādar bane
ba.ad ārā.ish balā.eñ kaun legā mere ba.ad
yaad karnā mujh ko jab zulf-e-parī-paikar bane
hai tumhāre sāmne to jaan kā bachnā muhāl
tum se jab chhūTeñ to dekheñ ġhair se kyūñkar bane
donoñ āshiq tere aur donoñ kī yakjā būd-o-bāsh
merī jaañ jān-o-jigar meñ dekhiye kyūñkar bane
ārzū-mand-e-shahādat kī vasiyyat sab se hai
naam khodā jaa.e merā jab koī ḳhanjar bane
dil mushabbak ho gayā tīr-e-nigāh-ḳhāna se
ab tumhārī yaad ke aane ko lākhoñ ghar bane
ġhair se koī ta.alluq hī na rakh ai jañg-jū
gar bigaḌ mujh se bigaḌ jo kuchh bane mujh par bane
ḳhuftagān-e-ḳhāk chauñk uTThe chale kuchh aisī chaal
aaj to ai merī jaañ tum fitna-e-mahshar bane
chāhte ho tum rahūñ mar kar bhī maiñ qadmoñ se duur
kahte ho qabr us kī mere kūche se bāhar bane
mar ke bhī paa.eñ lab-e-sāqī kā bosa kyā majāl
vaañ na pahuñche gar hamārī ḳhaak kā sāġhar bane
dāman-e-qātil ke dhabboñ kī gavāhī ho zarūr
gar hamāre ḳhuun kā ai dosto mahzar bane
dil mujhe achchhā burā jaisā banāyā de diyā
sar to koī pūchhtā kaisā bane kyūñkar bane
qabr kā konā ho maskan dam nikal jaa.e 'rashīd'
ḳhāna-e-tan gir chuke jaldī ki apnā ghar bane