Rasheed lakhnavi

gardish-e-chashm hai paimane mein

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917
gardish-e-chashm hai paimāne meñ
tum ga.e ho kabhī maiḳhāne meñ
ek jalva sā nazar aatā hai
koī to hai mire ġham-ḳhāne meñ
yuuñ hai siine meñ dil-e-pur-hasrat
qabr jaise kisī vīrāne meñ
sāz-e-nairañg hai merī zanjīr
na.ī āvāz hai har daane meñ
dekh ai dil na mujhe chhoḌ ke jā
farq aa jā.egā yārāne meñ
jal ke āshiq hue ma.ashūq sifat
sham.a kā soz hai parvāne meñ
jaan us but meñ lagī rahtī hai
apne ko paate haiñ begāne meñ
be-ḳhudī ne na kahīñ kā rakkhā
ham haiñ bastī meñ na vīrāne meñ
sañg-e-dar tak tire jab sar pahuñchā
laakh sajde kiye shukrāne meñ
nahīñ ma.alūm gayā kis jānib
dil lagā hai tire dīvāne meñ
qissa-e-hazrat-e-yūsuf na suno
turfa ibrat hai is afsāne meñ
hāl-pursī nahīñ kartā koī
bekasī hai mire ġham-ḳhāne meñ
is tarah dil meñ hai aahoñ kā dhuāñ
jaise ḳhaak uḌtī hai vīrāne meñ
barakat kis ke qadam kī hai 'rashīd'
ki azaañ hotī hai but-ḳhāne meñ
Top Urdushayar.com