uqde ulfat ke sab ai rashk-e-qamar khol diye
siina yuuñ chaak kiyā dāġh-e-jigar khol diye
sab hasīnoñ ne mire qatl pe kamreñ bāñdhīñ
Dore talvāroñ ke aur band-e-sipar khol diye
aa gayā hosh tirī chaal ke mushtāqoñ ko
hashr kī sun ke sadā dīda-e-tar diye
paa.ī tāroñ ne ziyā baḌh ga.ī tārīki-e-shab
us ne muñh Dhāñp ke kānoñ ke guhar khol diye
aam bārāñ kī tarah se hai karam saaqī kā
aa.ī barsāt ki maiḳhāne ke dar khol diye
jā ajab kī nahīñ gar ahl-e-mohabbat ro.e
mere mātam meñ hasīnoñ ne bhī sar khol diye
āñkheñ khole hue sab dekh rahe haiñ tujh ko
dil ke jaane ko ye ushshāq ne dar khol diye
imtihān hasrat-e-parvāz kā manzūr huā
zab.h kar ke mujhe sayyād ne par khol diye
sharm aa.egī mujhe log samajh jā.eñge
tum ne gesū mire lāshe par agar khol diye