Rasheed lakhnavi

hai andhera to samajhta hun shab-e-gesu hai

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917
hai añdherā to samajhtā huuñ shab-e-gesū hai
band āñkheñ haiñ ki ai yaar nazar meñ tū hai
dam-ba-dam kahte ho kyuuñ fikr meñ nāhaq tū hai
ġham ko kyā kaam mirā sar hai mirā zaanū hai
is liye dil ke talab karne pe maiñ rotā huuñ
tar na ho aap kā dāman ki ye ik aañsū hai
aaj phir kal kī tarah hijr kī raat aatī hai
dekhiye kyā ho vahī dil hai vahī pahlū hai
ek muddat kā hai qissa kisī jānib dil thā
ye nahīñ yaad ye pahlū hai ki vo pahlū hai
yād-e-ayyām-e-guzishta meñ na taḌpūñ kyūñkar
ki abhī tak mire bistar meñ tumhārī lau hai
mujh ko māne.a hai adab zab.h meñ kyūñkar taḌpūñ
o sitamgar mire siine pe tirā zaanū hai
hai ayaañ dil ke dhaḌakne se kisī kī ulfat
āj-kal aap ke pahlū meñ mirā pahlū hai
ho gayā hai jo mire dil kā satānā manzūr
āj-kal aap kī har baat meñ ik pahlū hai
tark-e-ulfat to kuchh āsāñ nahīñ mushkil hai 'rashīd'
roko aahoñ ko zarā in pe agar qaabū hai
Top Urdushayar.com