Rasheed lakhnavi

sharab-e-nab ka qatra jo saghar se nikal jae

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917
sharāb-e-nāb kā qatra jo sāġhar se nikal jaa.e
taḌap ke dil mirā qābū-e-dil-bar se nikal jaa.e
ḳhushī meñ kah rahā huuñ aamad aamad hai jo us gul kī
koī kah de ki vīrānī mire ghar se nikal jaa.e
satāte haiñ raqīb aa aa ke maiñ go chhup ke baiThā huuñ
ajab ye zulm hai koī kidhar ghar se nikal jaa.e
agar sun le ki tere saḳht-jāñ kī baarī aa pahuñchī
simaT kar āb-e-ḳhanjar chashm-e-jauhar se nikal jaa.e
nikālo roz ghar se Dar nahīñ lekin ye hai dhaḌkā
ki merā naam hī ik din na daftar se nikal jaa.e
ghaTā ke maiñ ne apnā shauq-e-dil likkhā hai jānāñ ko
ki uḌne meñ na ḳhat aage kabūtar se nikal jaa.e
na jaane kī karo jaldī ki qissa ḳhatm hotā hai
Thahar jaao zarā dam jism-e-lāġhar se nikal jaa.e
qafas meñ daam meñ mere phaḌakne kā ye baa.is hai
havā parvāz karne kī mire par se nikal jaa.e
ijāzat abr ko dar par Thaharne kī nahīñ dete
bas itnā hukm hai aa ke faqat barse nikal jaa.e
'rashīd'-e-soḳhta-dil sar paTakne par hai āmāda
kaho har ik sharar se jald patthar se nikal jaa.e
Top Urdushayar.com