hai be-ḳhud vasl meñ dil hijr meñ muztar sivā hogā
ḳhushī jis ghar kī aisī hai vahāñ kā rañj kyā hogā
abhī to yaar se kahne kī dil meñ bāteñ haiñ lākhoñ
na kuchh yaad aa.egā us vaqt jis dam sāmnā hogā
mire madfan kī miTTī kā vo khichvā.eñge itr aksar
agar bū-e-vafā kā un ke dil meñ kuchh mazā hogā
vo gesū baḌhte jaate haiñ balā.eñ hotī haiñ nāzil
qadam tak aa ga.e jab hashr aalam meñ bapā hogā
ġhazab karte ho mere dil ko abrū se chhuḌāte ho
bhalā samjho to kyūñkar gosht nāḳhun se judā hogā
adam meñ merā kyā kyā dam rukegā ek muddat tak
na.ī bastī na.ī poshāk hogī ghar nayā hogā
utārā ḳhuun ke dariyā se hogā sarfaroshoñ kā
banegī teġh kashtī aur qātil nāḳhudā hogā
bayāñ thā roz-e-avval ye mire dil kī udāsī kā
baḌī us ghar kī ābādī ye hai mātam-sarā hogā
ḳhabar le bāġhbāñ hai kis ġhazab kā habs gulshan meñ
havā hai band asīrān-e-qafas kā dam rukā hogā
mire siine se dil ke TūTne kī kyuuñ sadā aa.ī
magar yaañ haath se saaqī ke shīsha gir paḌā hogā
sitamgar aa.egā aksar ḳhabar lene ko zindāñ meñ
hameñ vo beḌiyāñ pahnā ke pāband-e-vafā hogā
raqīboñ kī umīdoñ ko jagah dete haiñ dil meñ ham
ki un meñ se koī āḳhir hamārā mudda.ā hogā
nahīñ hai jis meñ terā ishq vo dil hai tabāhī meñ
vo kashtī Duub jā.egī na jis meñ nāḳhudā hogā
'rashīd' ulfat se jab vāqif na the aksar ye kahte the
na dil se ham judā hoñge na ham se dil judā hogā