Rasheed lakhnavi

hijr hai ab tha yahin mein zar hum pahlu-e-dost

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917
hijr hai ab thā yahīñ meñ zaar ham pahlū-e-dost
mere bistar par mujhe taḌpā rahī hai bū-e-dost
ḳhatm zīnat ho ga.ī mashshāta ne le liiñ balā.eñ
gesu-e-pur-ḳham ne chūme shāna-o-bāzū-e-dost
imtihāñ quvvat kā hai talvār uThā.ī jaatī hai
ab to is qābil hue haiñ panja-o-bāzū-e-dost
zaḳhm khātā baḌh ke maiñ aur vo lagātā baḌh ke teġh
dil mirā baḌhtā to baḌhtī quvvat-e-bāzū-e-dost
ghaT gayā yaañ ḳhuun aur vaañ fasd kā sāmāñ huā
aa gayā ġhash mujh ko jab bāñdhā gayā bāzū-e-dost
jaan aadhī rah ga.ī dekhī jo ġhusse kī nazar
dil pe ik bijlī girī jab hil ga.e abrū-e-dost
mujh ko jin se ishq hai un ko hai mujh se dushmanī
yaañ vo aate the ki uljhe paañv gesū-e-dost
ka.aba jis ko log kahte haiñ makāñ hai yaar kā
arsh-e-a.azam naam rakhte haiñ zamīn-e-kū-e-dost
mere siine meñ huī kyuuñ ḳhāna-e-dil kī binā
ye makāñ banñe ke qābil thī zamīn-e-kū-e-dost
zaḳhmī-e-ulfat huuñ maiñ sehat nahīñ hogī mujhe
bhar rahī hai dil ke zaḳhmoñ meñ havā.e kū-e-dost
baḳhshtī hai ruuh ko har martaba ik tāzgī
mujh ko marne hī nahīñ detī havā-e-kū-e-dost
tālib-e-dīdār haiñ hai saaf āñkhoñ se ayaañ
go ki muñh se kuchh nahīñ kahte gadā-e-kū-e-dost
dushman iizā dete haiñ har martaba mujh ko 'rashīd'
ġhussa aatā hai magar maiñ dekhtā huuñ sū-e-dost
Top Urdushayar.com