Rasheed lakhnavi

dam-e-raftar-e-jaanan ye sada-e-naz aati hai

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917
dam-e-raftār-e-jānāñ ye sadā-e-nāz aatī hai
sambhāleñ sab diloñ ko paañv kī āvāz aatī hai
sabā jo pur mirā ai bāġhbāñ laatī hai gulshan meñ
qafas se saath yaañ tak hasrat parvāz aatī hai
abhī jaao na yārāñ qafas-e-gulzār kī jānib
zarā ham muntazir haiñ tāqat-e-parvāz aatī hai
asar ye hai ki bulbul jab qafas meñ kartī hai naala
shikast-e-rañg-e-gul kī baaġh se āvāz aatī hai
nazar duzdīda terī kab nazar aatī hai āshiq ko
uḌā jaatā hai dil aur tiir kī āvāz aatī hai
shikva-e-husn ye hai jab kabhī tum jā nikalte ho
to but-ḳhāne se yā-allāh kī āvāz aatī hai
sadā dī maiñ ne jab aane lagī sub.h shab-e-vaslat
samajh kar aa kidhar o tafarqe parvāz aatī hai
tire baa.is se jis ne kal hameñ dī thī bahut iizā
vahī shab aaj phir ai tāla-e-nā-sāz aatī hai
huī muddat tire zulfoñ ke dīvāne kī sehat ko
bigaḌ jaatā hai shab zanjīr kī āvāz aatī hai
zarā kah de koī un se qarīb aayā dam-e-āḳhir
ki ulTī saañs ab to ai mire dam-sāz aatī hai
javānī ke nishāñ andām se hone lage zāhir
mubārak ho bahār ai sard baaġh naaz aatī hai
jhukā.e sar na kyuuñ ḳhāmosh baiThūñ hijr-e-jānāñ meñ
ki dil ke TūTne kī kaan meñ āvāz aatī hai
bhalā aaj zinda āh-e-dil āshiq kare paidā
ki ḳhud vo kah rahe haiñ dard kī āvāz aatī hai
'rashīd' ash.ār mohmal paḌh rahe ho jam.a haiñ shā.ir
ḳhajil hote nahīñ tum dil kī ye āvāz aatī hai
Top Urdushayar.com