junūñ kī fasl aa.ī baḌh ga.ī tauqīr patthar kī
sar-e-shorīda ḳhud karne lagā tadbīr patthar kī
ye mushkil kis tarah hal ho nahīñ shamshīr patthar kī
dil-e-sayyād patthar gardan-e-naḳhchīr patthar kī
binā ā.īna chamkī kis qadar taqdīr patthar kī
tumhāre rū-ba-rū aayā zahe tauqīr patthar kī
hamāre josh-e-vahshat ne ye ham ko rañg dikhlāyā
na kuchh taqsīr laḌkoñ kī na kuchh taqsīr patthar kī
nishāñ kuchh aap bhī kar deñ huā dafn aap kā majnūñ
pa.e tārīḳh rehlat kījiye tadbīr patthar kī
ragoñ meñ merī peshānī kī josh-e-ḳhūñ huā paidā
hikāyat likh chukā jab kātib-e-taqdīr patthar kī
jo tū samjhe to mere tere dil kī ek sūrat hai
ye hai tasvīr miTTī kī vo hai tasvīr patthar kī
na jis meñ lafz-o-ma.anī hoñ kalām us ko nahīñ kahte
chaTaknā pattharoñ kā kab huī taqrīr patthar kī
tirā saudā jahāñ par thā rasā.ī ho ga.ī vaañ tak
paḌā sar par hamāre laḌ ga.ī taqdīr patthar kī
lagāyā sañg apne haath se tū ne mire sar par
ḳhushā taqdīr merī aur zahe taqdīr patthar kī
qasam logo adab se aañkh uThā ke maiñ ne dekhā ho
tumhāre dar meñ lohe kī hai yā zanjīr patthar kī
dil-e-saḳht ai 'rashīd'-e-zār apnā hai garāñ ham ko
bajā hai kis tarah bhārī na ho tasvīr patthar kī